dil ko nashat-e-gham se hun shadan kiye hue
mujh par firaq-e-yaad hai ehsan kiye hue
aahen bata rahi hain ki derina choT hai
chehra hai dil ke ranj ko uryan kiye hue
jaise KHizan-rasida koi barg-e-dasht mein
phirte hain dil mein dard ko pinhan kiye hue
shahid hain soz-e-qalb ke qatraat ashk-e-gham
palkon pe hain charagh-e-farozan kiye hue
aai hai phir bahaar junun ko mili hai shah
muddat hui thi chaak gareban kiye hue
yaadon ke gul khile hain tasawwur mein aaj phir
hum aa hai hain sair-e-gulistan kiye hue
insaniyat ka qaht hai 'sartaj' aaj-kal
muddat hui ziyarat-e-insan kiye hue

Ghazal
Dil ko nashat-e-gham se hun shadan kiye hue
Sartaj Alam Abidi