اردو हिंदी
Dil ko le kar humse ab jaan bhi talab karte hain aap | Shaahi Shayari
dil ko le kar humse ab jaan bhi talab karte hain aap

Ghazal

Dil ko le kar humse ab jaan bhi talab karte hain aap

Nazeer Akbarabadi

;

dil ko le kar hum se ab jaan bhi talab karte hain aap
lijiye hazir hai par ye to ghazab karte hain aap

morid-e-taqsir gar hote to lazim thi saza
ye jafa phir kahiye hum par kis sabab karte hain aap

karte ho abru se kushta ruKH se dete ho jila
husn mein eajaz kya kya roz-o-shab karte hain aap

qais se jo tha kiya dar-parda laila ne suluk
so wahi ai mehrban hum se bhi ab karte hain aap

be-kali hoti hai hasrat se dil-e-sad-chaak ko
apni zulf-e-ambarin ko shana jab karte hain aap

hum ne puchha phir bhi us ki jaan phiri sab jism mein
naza mein duri se jis ko jaan-ba-lab karte hain aap

hans ke farmaya 'nazir' apni dua-e-lutf se
ye bhi ho sakta hai kya is ka ojab karte hain aap