اردو हिंदी
Dil ko gham ras hai yun gul ko saba ho jaise | Shaahi Shayari
dil ko gham ras hai yun gul ko saba ho jaise

Ghazal

Dil ko gham ras hai yun gul ko saba ho jaise

Hosh Tirmizi

;

dil ko gham ras hai yun gul ko saba ho jaise
ab to ye dard ki surat hi dawa ho jaise

har-nafs halqa-e-zanjir nazar aata hai
zindagi jurm-e-tamanna ki saza ho jaise

kan bajte hain sukut-e-shab-e-tanhai mein
wo KHamoshi hai ki ek hashr bapa ho jaise

ab to diwanon se yun bach ke guzar jati hai
bu-e-gul bhi tere daman ki hawa ho jaise

kahte kahte gham-e-dil umr guzari lekin
phir bhi ehsas ye hai kuchh na kaha ho jaise

'hosh' be-tabi-e-ehsas ka aalam tauba
mujh mein chhup kar wo mujhe dekh raha ho jaise