اردو हिंदी
Dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai | Shaahi Shayari
dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai

Ghazal

Dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai

Meer Hasan

;

dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai
par jaan tu bhi ho to ajab sar-zamin hai

sar ko na phenk apne falak par ghurur se
tu KHak se bana hai tera ghar zamin hai

rota phira hai kaun ye sar-gashta ai falak
jidhar nazar paDe hai udhar tar zamin hai

aaine ki tarah se nazar hai tu dekh le
raushan-dilon ki ghar ki munawwar zamin hai

shayad naha ke aaj nichoDi hai tu ne zulf
ghar ki tamam teri muambar zamin hai

giti ne zer-e-charKH rakha hai sabhon ko tham
is kashti-e-jahan ki langar zamin hai

le dil se chashm tak mere dariya sa hai bhara
donon gharon ki gharq sarasar zamin hai

awwal yahi hai bais-e-KHun-rezi-e-jahan
zewar hai zan hai zor hai ya zan zamin hai

is tangna-e-dahr se jaun kidhar nikal
udhar hai aasman aur idhar zamin hai

juz KHun-e-kohkan na uge wan se koi gul
shirin ki rah-e-ishq ki patthar zamin hai

raunde ho naqsh-e-pa ki tarah jis ko tum 'hasan'
dekhoge koi din yahi sar par zamin hai