dil ki kuduraten agar insan se dur hon
sare nifaq gabr o musalman se dur hon
nazdik aa chuki hai sawari bahaar ki
barg-e-KHizan-rasida gulistan se dur hon
dil is qadar gudaz hai barson hi gham rahe
aansu jo apne dida-e-giryan se dur hon
miTta nahin nawishta-e-qismat kisi tarah
jauhar kabhi na KHanjar-e-burran se dur hon
fasl-e-bahaar aai hai kapDon ko phaDiye
dil ke buKHar dast-o-gareban se dur hon
chhiDkaw ka irada hai chashm-e-pur-ab ka
gard-o-ghubar kucha-e-jaanan se dur hon
ye tang kar raha hai to uljha rahe hain wo
daman ke paT pahle gareban se dur hon
wahsh o tuyur ko meri aahen karen halak
aab-o-giyah koh-o-bayaban se dur hon
mumkin nahin najat asiran-e-ishq ko
ye qaidi wo nahin ki jo zindan se dur hon
muddat ke baad aae hain sahra mein ai junun
do aable to KHar-e-mughilan se dur hon
gardish se chashm-e-yar ke 'atish' ajab nahin
jo jo amal ki gardish-e-dauran se dur hon
Ghazal
Dil ki kuduraten agar insan se dur hon
Haidar Ali Aatish