dil ki KHatir hi zamane ki bala ho jaise
zindagi apne gunahon ki saza ho jaise
dil ki wadi mein tamannaon ki ranga-rangi
koi mela kisi basti mein laga ho jaise
han pukara hai gham-e-zist ne yun bhi hum ko
pyar mein Dubi hui teri sada ho jaise
jada-e-shauq mein jalte hain diye dur talak
apna har naqsh-e-qadam rah-numa ho jaise
dil jalao bhi ki 'jawed' andhera hai bahut
raushni rah-guzaron se KHafa ho jaise
Ghazal
Dil ki KHatir hi zamane ki bala ho jaise
Javed Vashisht