dil ki duniya mein tujhe la ke main hairan kar dun
aa tujhe dard-e-mohabbat se farozan kar dun
chand lamhe jo mayassar hon sukun ke mujh ko
rah nikle to har ek dard ka darman kar dun
inqilabaat wahi hain ki jo yaksar ubhren
gar ho taKHrib ghadar nam mein chaspan kar dun
us ke ghar jaun rahi jis se adawat barson
thoDi taklif sahi us ko pasheman kar dun
aarzu hai ki rahun zinda mohabbat ban kar
hun jahan dafn 'asar' us ko gulistan kar dun

Ghazal
Dil ki duniya mein tujhe la ke main hairan kar dun
Marghoob Asar Fatmi