dil ki dhaDkan tham gai dard-e-nihan baDhta gaya
jal gai hasti meri lekin dhuan baDhta gaya
zindagi tu hi bata kis ja mujhe le kar chali
ajnabi raston pe aaKHir main kahan baDhta gaya
dasht-e-wahshat mein jala kar zulmaton ki bastiyan
raushni ki samt mera karwan baDhta gaya
apni barbaadi ka zimmedar main ya koi aur
zehn mein har waqt mere ye guman baDhta gaya
ruh ne chhoDa jo tanha jism ko waqt-e-nazaa
baad phir us ke firaq-e-jism-o-jaan baDhta gaya
tifl se le kar adam tak zindagi ke sath sath
sar pe mere bar-e-ummid-e-garan baDhta gaya
zindagi aur maut ka yun silsila chalta raha
tang tha pichhla jahan agla jahan baDhta gaya
har qadam tha sath 'arif' mera nafs-e-daimi
ibtida se intiha tak main jahan baDhta gaya

Ghazal
Dil ki dhaDkan tham gai dard-e-nihan baDhta gaya
Syed Mohammad Askari Arif