اردو हिंदी
Dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho | Shaahi Shayari
dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho

Ghazal

Dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho

Bushra Hashmi

;

dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho
mere ashkon ka hai kya mol guhar se puchho

ghar jala baiThe charaghon ki hawas mein aaKHir
ghar ki qimat to kisi KHak-basar se puchho

ye to malum hai main samt-e-safar kho baiThi
tum isi baat ko andaz-e-digar se puchho

ret uDti hai sujhai nahin deta kuchh bhi
kaT sakegi kabhi ye raat sahar se puchho

yun to majnun bhi hua kohkan o mansur hue
ghayal ab kaun hua tir-e-nazar se puchho

log kahte hain mujhe sang-e-sar-e-rah 'bushra'
qadr-o-qimat meri kuchh ahl-e-hunar se puchho