dil ke har zaKHm ko palkon pe sajaya to gaya
aap ke nam pe ek jashn manaya to gaya
mai-e-kohna na sahi KHun-e-tamanna hi sahi
ek paimana mere samne laya to gaya
KHair apna nahin baghi hi samajh kar hum ko
teri mahfil mein kisi taur bulaya to gaya
ab ye baat aur ki zindan mein bhi zanjiren hain
hum ko gulshan ki balaon se bachaya to gaya
dar pe chaDh ke bhi KHush hain ki hamein is dil mein
is bahane hi sahi apna banaya to gaya
ab ye qismat hi na jage to kare kya koi
roz-o-shab ek naya tufan uThaya to gaya
kya hai manzil se agar ho gae hum dur 'aKHtar'
rahbaron ke hamein halqe se nikala to gaya
Ghazal
Dil ke har zaKHm ko palkon pe sajaya to gaya
Akhtar lakhnvi