dil ke har dard ne ashaar mein Dhalna chaha
apna pairahan-e-be-rang badalna chaha
koi an-jaani si taqat thi jo aaDe aai
warna hum ne to bahar-gam sambhalna chaha
chahte to kisi patthar ki tarah ji lete
hum ne KHud mom ki manind pighalna chaha
aankhen jalne lagin tapte hue bazaron mein
dil ne jab bhi kisi manzar pe machalna chaha
sirf hum hi nahin har ek ne jine ke liye
ek na ek jhuTe sahaare se bahalna chaha
kaun hai ye jo sisakta hai mere sine mein
kaun hai jis ne mere KHun pe palna chaha
Ghazal
Dil ke har dard ne ashaar mein Dhalna chaha
Bashar Nawaz