dil ka sukun aankh ka tara kise kahen
ye sochna paDa hai ki apna kise kahen
ye shor-e-inqalab ye naqus ye azan
hangama kaun sa hai tamasha kise kahen
rahbaniyat ka jism se fastaiyat ki ruh
kis ko rafiq KHun ka pyasa kise kahen
sab milte-julte chehre hain dushman bhi dost bhi
qatil kise bataen masiha kise kahen
har zarra-e-haqir hai ham-dosh mehr-o-mah
is pattharon ke Dher mein hira kise kahen
itna shuur de hamein KHallaq KHair-o-shar
KHar-o-zabun hai kaun farishta kise kahen
milna tha jo nasib se wo mil gaya 'ziya'
hasrat kise bataen tamanna kise kahen

Ghazal
Dil ka sukun aankh ka tara kise kahen
Bakhtiyar Ziya