dil ka aazar kam nahin hota
shauq-e-didar kam nahin hota
baDh rahi hai bahut masihai
dard-e-bimar kam nahin hota
sulh-sazan-e-bazm-e-alam ka
josh-e-paikar kam nahin hota
dekh kar tum ko aur ko dekhen
ab to mear kam nahin hota
un ke inkar-e-ruh-farsa se
un ka iqrar kam nahin hota
ai falak aur koi taza sitam
karam-e-yar kam nahin hota
zahiri haq-parastiyon se kabhi
kufr-e-din-dar kam nahin hota
daur-e-mai mein kami to aati hai
shauq-e-mai-KHwar kam nahin hota
mai se raghbat hai shaiKH ko har-chand
mai se inkar kam nahin hota
'arsh' dad-e-suKHan na milne se
lutf-e-ashaar kam nahin hota
Ghazal
Dil ka aazar kam nahin hota
Arsh Malsiyani