dil jins-e-mohabbat ka KHaridar nahin hai
pahli si wo ab surat-bazar nahin hai
har bar wahi soch wahi zahr ka saghar
is par ye sitam-e-jurat-e-inkar nahin hai
kuchh uTh ke bagulon ki tarah ho gae raqsan
kuchh kahte rahe rasta hamwar nahin hai
dil Dub gaya lazzat-e-aghosh-e-sahar mein
bedar hai is tarah ki bedar nahin hai
hum is se mata-e-dil-o-jaan mang rahe hain
jo ek tabassum ka rawadar nahin hai
ye sar se nikalti hui logon ki fasilen
dil se magar unchi koi diwar nahin hai
dam sadh ke baiTha hun agarche mere sar par
ek shaKH-e-samar-dar hai talwar nahin hai
dam lo na kahin dhup mein chalte raho 'baqi'
apne liye ye saya-e-ashjar nahin hai
Ghazal
Dil jins-e-mohabbat ka KHaridar nahin hai
Baqi Siddiqui