dil jhuka mail tabiat ho gai
aaj bismillah ulfat ho gai
mahw dil se sab shikayat ho gai
samne jab un ki surat ho gai
mera haal-e-zar to dekha magar
ye na puchha kyun ye haalat ho gai
wo fareb-e-naz de kar le gae
kitni arzan dil ki qimat ho gai
dil mein jab tak aah thi ek baat thi
lab tak aate hi hikayat ho gai
jab na Dala us ne aa kar koi phul
gul hamari sham-e-turbat ho gai
fitna-sazi tak jo thi mashq KHiram
rafta rafta wo qayamat ho gai
kaisi matlab-ashna thi chashm-e-shoKH
dil uDaya aur champat ho gai
chashm pur nam ne kiya ifsha raaz
aabru-e-zabt ghaarat ho gai
dil ki chaalon ka natija ye hua
waqt se pahle qayamat ho gai
de diya dil jis ko hum ne de diya
ho gai jis se mohabbat ho gai
kah gae 'ahsan' ke munh par aaj wo
teri surat se bhi nafrat ho gai
Ghazal
Dil jhuka mail tabiat ho gai
Ahsan Marahravi