dil jalane se kahan dur andhera hoga 
raat ye wo hai ki mushkil se sawera hoga 
kyun na ab waz-e-junun tark karen lauT chalen 
us se aage jo hai jangal wo ghanera hoga 
ye zaruri to nahin itna bhi KHush-fahm na ban 
wo zamana jo na mera hai na tera hoga 
itna bhi sang-e-malamat se Dara mat naseh 
sar salamat hai to is shahr ka phera hoga 
KHidmat-e-raj-mahal par unhen dekha mamur 
jo ye kahte the ki sardar basera hoga 
rah-e-pur-pech ko sahl itna batane wala 
rahbar ho nahin sakta hai luTera hoga 
wo bhi insan hai ai dil use ilzam na de 
jaane us ko bhi kin aafat ne ghera hoga
        Ghazal
Dil jalane se kahan dur andhera hoga
Gopal Mittal

