dil hua viran mata-e-chashm-e-nam jati rahi
rafta rafta shorish-e-tab-e-alam jati rahi
tujh pe kya guzri ki pas-e-ashiqan karne laga
yani hum par wo teri mashq-e-sitam jati rahi
hum ko duniya se shikayat hai kuchh is andaz ki
thi kabhi duniya ko jaise qadr-e-gham jati rahi
mai-kada hai rind hain saqi hai daur-e-jam hai
bazm-e-jam baqi hai ab tak shan-e-jam jati rahi
rah gaya sine mein gham aasar-e-gham zahir nahin
ghamgusaron se bhi ab chashm-e-karam jati rahi
jis ko kahte hain mohabbat ho gai ab rasm-e-ghair
jis ko kahte hain murawwat besh-o-kam jati rahi

Ghazal
Dil hua viran mata-e-chashm-e-nam jati rahi
Khurshid-ul-islam