dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur 
le chal mujhe ai shauq-e-subuk-gam kahin aur 
han aur uTha parde ko ai parda-nashin aur 
mujh sa nahin koi tere jalwon ka amin aur 
jitni wo mere haal pe karte hain jafaen 
aata hai mujhe un ki mohabbat ka yaqin aur 
mai-KHane ki hai shan usi shor-e-talab se 
han aur nahin par hai taqaza ki nahin aur 
hai hasil-e-sad-zist jawani ka ye aalam 
ai umr-e-gurezan mujhe rahne de yahin aur 
mujh sa jo nahin aur koi chahne wala 
tujh sa bhi zamane mein nahin koi hasin aur 
kafi nahin mujh ko ye nigah-e-ghalat-andaz 
han aur baDha hausla-e-qalb-e-hazin aur 
takrar ka ai shaiKH yahi to hai natija 
tum ne jo kahin aur to hum se bhi sunin aur 
hum martaba-e-'arsh' koi un mein na hoga 
honge dar-e-jaanan ke bahut KHak-nashin aur
        Ghazal
Dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur
Arsh Malsiyani

