dil hi dil mein dard ke aise ishaare ho gae
gham zamane ke sharik-e-gham hamare ho gae
jo abhi mahfuz hain tanqid hai un ka shiar
haal un ka puchhiye jo be-sahaare ho gae
bin khile murjha gain kaliyan chaman mein kis qadar
zard-ru kis darja hae mah-pare ho gae
amn ki taqat ko kuchla sach ko ruswa kar diya
dushmanon ke chaar-din mein ware-nyare ho gae
ye zamana kis qadar bar-e-garan sabit hua
apne begane hue begane pyare ho gae
dushman-e-din dushman-e-jaan dushman-e-amn-o-sukun
ek do ka zikr kya sare ke sare ho gae
Dubne walon se zaid kha raha hai un ka gham
jin ko sahil tegh-e-uryan ke kinare ho gae
ashk-e-gham mein nur-e-rahmat is tarah shamil raha
chand-taron se siwa ye chand-tare ho gae
haif gulzar-e-jahan mein chha gai gham ki ghaTa
jo shagufe the chaman mein wo sharare ho gae
Ghazal
Dil hi dil mein dard ke aise ishaare ho gae
Gulzar Dehlvi