dil hai to muqamat-e-fughan aur bhi honge 
sar hai to abhi sang-e-giran aur bhi honge 
hum se ki hai saman-e-faraghat bhi junun bhi 
taswir ke parde mein nihan aur bhi honge 
wan silsila-e-zulf mein KHam baDhte rahenge 
yan mashghla-e-gham mein ziyan aur bhi honge 
wan bu-e-wafa wahm ko sah chand karegi 
yan rang-e-taghaful pe guman aur bhi honge 
han rasm-e-mudaraat-e-junun aur baDhegi 
han dushman-e-dil aafat-e-jaan aur bhi honge 
han wajh-e-giraftari-e-dil sab kise malum 
han tarz-e-sitam-ha-e-nihan aur bhi honge 
han aur baDhegi qad-o-gesu ki hikayat 
han qissa-e-kotahi-e-jaan aur bhi honge 
bhaDkegi abhi aatish-e-shauq aur sar-e-dar 
han shoala-laban sarw-qadan aur bhi honge 
han marhala-e-shauq ke unwan hain abhi aur 
'baqar' se kuchh aashufta-bayan aur bhi honge
        Ghazal
Dil hai to muqamat-e-fughan aur bhi honge
Sajjad Baqar Rizvi

