dil-e-tabah ko ab tak nahin yaqin aaya
ki sham bit gai aur tu nahin aaya
jahan se main ne kiya tha kabhi safar aaghaz
main KHak dhul hua lauT kar wahin aaya
wo jis ke hath se taqrib-e-dil-numai thi
abhi wo lamha-e-maujud mein nahin aaya
bas ek bar meri nind chhu gaya koi
phir is ke baad har ek KHwab-e-dil-nashin aaya
bichhaD ke tujh se teri yaad bhi nahin aai
makan ki samt palaT kar makin nahin aaya
Ghazal
Dil-e-tabah ko ab tak nahin yaqin aaya
Faheem Shanas Kazmi