dil-e-simab-sifat phir tujhe zahmat dunga
dur-uftada zaminon ki masafat dunga
apne atraf naya shahr basaunga kabhi
aur ek shaKHs ko phir us ki hukumat dunga
ek diya nind ki aaghosh mein jalta hai kahin
silsila KHwab ka TuTe to bashaarat dunga
qissa-e-sud-o-ziyan waqf-e-mudaraat hua
phir kisi roz mulaqat ki zahmat dunga
main ne jo likh diya wo KHud hai gawahi apni
jo nahin likkha abhi us ki bashaarat dunga
ek safha kahin tariKH mein KHali hai abhi
aaKHiri jang se pahle tumhein mohlat dunga
Ghazal
Dil-e-simab-sifat phir tujhe zahmat dunga
Saleem Kausar