dil-e-dard-ashna ka muddaa kya
kisi bedad ki kije dawa kya
hua insan hi jab insan ka dushman
shikayat phir kisi ki kya gila kya
bahaar-e-taza aai gulsitan mein
khilae jaane gul baad-e-saba kya
wo kahte hain nasheman tark kije
chali gulshan mein ye taza hawa kya
uThi insaniyat yaksar yahan se
yakayak KHu-e-insan ko hua kya
nahin malum mustaqbil kisi ko
marahil pesh aaen jaane kya kya
ujaD kar rah gaya do din mein he he
mere 'gulzar'-e-hindi ko hua kya
Ghazal
Dil-e-dard-ashna ka muddaa kya
Gulzar Dehlvi