اردو हिंदी
Dil dhuan dene lage aankh pighalne lag jae | Shaahi Shayari
dil dhuan dene lage aankh pighalne lag jae

Ghazal

Dil dhuan dene lage aankh pighalne lag jae

Zeeshan Athar

;

dil dhuan dene lage aankh pighalne lag jae
tum jise dekh lo ek bar wo jalne lag jae

raqs karti hain kai raushniyan kamre mein
us ka chehra na kahin rang badalne lag jae

tez-tez-raftari-e- na badal de mear
sham ke sath kahin umr na Dhalne lag jae

raushni mein teri raftar se karta hun safar
zindagi mujh se kahin tez na chalne lag jae

rista pani bhi ghanimat hai wo din dur nahin
rauzan-e-chashm se jab ret nikalne lag jae

reg-e-sahra hai tere jism ke sone ki misal
aankh phisle to kabhi panw phisalne lag jae

shaKH-e-dil kaT ke miTTi mein daba di hum ne
kash aisa ho ki ye phulne-phalne lag jae

hum bhi hangama-e-bazar-e-jahan se guzre
jaise 'zishan' koi nind mein chalne lag jae