dil dhaDkanon mein jaise dhaDakta usi ka tha
jaise mere wajud pe chehra usi ka tha
rakha hua tha jis ko zamane se dur dur
har lab pe us ka tazkira charcha usi ka tha
aane diya na chain kabhi ek pal mujhe
mere tasawwuraat mein dhaDka usi ka tha
jis ne tamam shahr khanDar mein badal diya
sikka tamam shahr mein chalta usi ka tha
yun to hazar zaKHm mujhe aur bhi lage
lekin jo zaKHm sab se tha gahra usi ka tha
shiddat ki pyas ne mujhe ghera to ye khula
sahra ka jo makin tha dariya usi ka tha
hum ko hai aaj tak usi tabir ki talab
aaya tha kal 'nabil' jo sapna usi ka tha
raushan tha jis charagh ki lau se badan 'nabil'
mujh ko tamam-umr hi dhaDka usi ka tha

Ghazal
Dil dhaDkanon mein jaise dhaDakta usi ka tha
Nabeel Ahmad Nabeel