dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye
dil le ke chhup gae tumhein aisa na chahiye
dil kaam ka nahin to na lo jaan nazr hai
itni zara si baat pe jhagDa na chahiye
zahid to baKHshe jaen gunahgar munh taken
ai rahmat-e-KHuda tujhe aisa na chahiye
ai dil sada usi ki taraf sar jhuka rahe
kaba wahi hai ghair ka sajda na chahiye
kaba samajh ke dair mein 'muztar' basar karo
wo har jagah hai ab kahin jaana na chahiye
Ghazal
Dil-dadgan-e-husn se parda na chahiye
Muztar Khairabadi