dil bujhne laga aatish-e-ruKHsar ke hote
tanha nazar aate hain gham-e-yar ke hote
kyun badle hue hain nigah-e-naz ke andaz
apno pe bhi uTh jati hai aghyar ke hote
viran hai nazar meri tere ruKH ke muqabil
aawara hain gham kucha-e-dildar ke hote
ek ye bhi ada-e-dil-e-ashufta-saran thi
baiThe na kahin saya-e-diwar ke hote
jina hai to ji lenge bahar-taur diwane
kis baat ka gham hai rasan-o-dar ke hote
Ghazal
Dil bujhne laga aatish-e-ruKHsar ke hote
Zehra Nigaah