dil bichhaD kar jo chala us but-e-maghrur talak
dekhta main bhi gaya us ke tain dur talak
jaan jawe ki na jawe rahe sar ya na rahe
chhoDne ke nahin hum tujh ko to maqdur talak
ab nahin waqt taghaful ka sun ai yar-e-aziz
pahunchiyo jald zara is dil-e-ranjur talak
hum bhi tab tak hain ki yan jalwa hai jab tak tera
hasti-e-saya bhi sach puchho to hai nur talak
zaKHm-e-dil ishq ke ghar ka to dar-e-daulat hai
bhej marham ko na hamdam mere nasur talak
qasid-o-nama-o-paigham ki mat kah ki saba
ab to wan se nahin aati dil-e-mahjur talak
mar gae din hi ko hum hijr mein sad-shukr 'hasan'
kaam pahuncha na hamara shab-e-dijur talak
Ghazal
Dil bichhaD kar jo chala us but-e-maghrur talak
Meer Hasan