اردو हिंदी
Dil badalne se na aflak badal jaane se | Shaahi Shayari
dil badalne se na aflak badal jaane se

Ghazal

Dil badalne se na aflak badal jaane se

Alam Khursheed

;

dil badalne se na aflak badal jaane se
shahr badla meri poshak badal jaane se

kis qadar ho gai aasan hamari mushkil
ek paimana-e-idrak badal jaane se

aaj bhi raqs hi karna hai ishaaron pe hamein
faeda kuchh na hua chaak badal jaane se

rasta ab bhi wahi hai meri manzil bhi wahi
tez-rau main hua pechaak badal jaane se

bhiD baDhne lagi hai mere bahi-KHwahon ki
ek zara surat-e-namnak badal jaane se

nind aati thi bahut farsh-e-zamin par mujh ko
KHwab ruThe meri imlak badal jaane se

be-watan main hun magar KHush hain mere ghar wale
itna hasil to hua KHak badal jaane se

badli badli si nazar aati hai duniya 'alam'
bas mizaj-e-KHas-o-KHashak badal jaane se