dil-ba-dil aaina hai dair o haram
haq jo puchho ek dar hai do taraf
KHwah kaba KHwah but-KHana ko ja
dasht-e-dil ka rahguzar hai do taraf
kufr o iman donon jaanib ki sune
is liye gosh-e-bashar hai do taraf
raKHna-andazon ki kab chhupti hai aankh
chashm-e-rauzan ki nazar hai do taraf
bagh ho ya dasht ho qismat 'nasim'
coach ki apne KHabar hai do taraf
Ghazal
Dil-ba-dil aaina hai dair o haram
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi