dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat 
istada hain hum bagh mein shamshad ki surat 
yaad aati hai bulbul pe jo bedad ki surat 
ro deta hun main dekh ke sayyaad ki surat 
aazad tere ai gul-e-tar bagh-e-jahan mein 
be-jah-o-hasham shad hain shamshad ki surat 
jo gesu-e-jaanan mein phansa phir na chhuTa wo 
hain qaid mein phir KHub hai miad ki surat 
khinchenge mere aaina-ruKHsar ki taswir 
dekhe to koi mani-o-bahzad ki surat 
gali ke siwa hath bhi chalta hai ab un ka 
har roz nai hoti hai bedad ki surat 
kis tarah 'amanat' na rahun gham se main dil-gir 
aankhon mein phira karti hai ustad ki surat
        Ghazal
Dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat
Amanat Lakhnavi

