dikhai de na kabhi ye to mumkinat mein hai
wo sab wajud mein hai jo tasawwuraat mein hai
main jis hunar se hun poshida apni ghazlon mein
usi tarah wo chhupa sari kaenat mein hai
ki jaise jism ki rag rag mein dauDta hai lahu
isi tarah wo rawan arsa-e-hayat mein hai
ki jaise sang ke sine mein koi but hai nihan
usi tarah koi surat taKHaiyyulat mein hai
ki jaise waqt guzarne ka kuchh na ho ehsas
usi tarah wo sharik-e-safar hayat mein hai
ki jaise bu-e-wafa KHud-supurdagi mein mile
usi tarah ki mahak us ki iltifat mein hai
ki jaise jhuT kai jhuT ke sahaare le
usi tarah wo pareshan takallufat mein hai
gunah bhi koi jaise kare Dare bhi bahut
usi tarah ki jhijhak us ki baat baat mein hai
bas ab to ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin
ye TukDa zist ka din mein hai aur na raat mein hai
nazar ke zawiye badle hai aur kuchh bhi nahin
wahi hai kabe mein jo 'nur' somnath mein hai
Ghazal
Dikhai de na kabhi ye to mumkinat mein hai
Krishn Bihari Noor