dikhae gard ke KHeme pa ghar nahin likkha
safar to saunp gaya wo shajar nahin likkha
wo aashna mujhe pani se kar ke lauT gaya
kisi bhi lahr mein jis ne guhar nahin likkha
bashaaraten thin ki poron ki samt aati thin
magar ye hath ki jin mein hunar nahin likkha
ajab guman the qaus-e-nigah mein us ki
khanDar se shahr ko is ne khanDar nahin likkha
har ek rut ki dua bhi hawa bhi aai thi
ye banjh peD ki in par samar nahin likkha
us ek lafz ki siski mujhe rulati hai
wo ek lafz jise jaan kar nahin likkha

Ghazal
Dikhae gard ke KHeme pa ghar nahin likkha
Qayyum Tahir