didani hain dil-e-KHarab ke rang
aah us chashm-e-pur-hijab ke rang
fasl-e-gul mein paDen to KHub khilen
KHirqa-e-zohad par sharab ke rang
shauq-e-mai dil mein lab pe hijw-e-sharab
hum pe raushan hain sab janab ke rang
nahin tauba ki KHair hain jo yahi
josh-e-hangama-e-sahab ke rang
kal ke maqbul aaj hain mardud
aah is daur-e-inqilab ke rang
qabil-e-did hain visal ki shab
aarzu-ha-e-kaamyab ke rang
chehra-e-ashiqi hai pazh-murda
kya hue wo mai-e-shabab ke rang
KHail-e-KHuban se ek mein bhi nahin
aap ke husn-e-la-jawab ke rang
meri mayusiyon se hain paida
kashmakash-ha-e-iztirab ke rang
dil ke hathon bahut rahe hain KHarab
'hasrat'-e-KHanuman KHarab ke rang
Ghazal
Didani hain dil-e-KHarab ke rang
Hasrat Mohani