dida-e-tar ne ajab jalwagari dekhi hai
gham ne jis shaKH ko pala wo hari dekhi hai
hae kis but ki KHudai ka bharam TuTa hai
KHalq ne aaj in aankhon mein tari dekhi hai
na mila par na mila ishq ko andaz-e-junun
hum ne majnun ki bhi aashufta-sari dekhi hai
aab-o-gil ghuncha-o-gul dida-o-dil shams-o-qamar
kin hijabon mein teri parda-dari dekhi hai
han kabhi khul na saka phul pe mazmun-e-bahaar
o saba hum ne teri nama-bari dekhi hai
kaun asir-e-gham-e-kotahi-e-parwaz nahin
kis ne sayyaad ki be-baal-o-pari dekhi hai
Ghazal
Dida-e-tar ne ajab jalwagari dekhi hai
Anvar Moazzam