اردو हिंदी
Dida-e-jauhar se bina ho gaya | Shaahi Shayari
dida-e-jauhar se bina ho gaya

Ghazal

Dida-e-jauhar se bina ho gaya

Hatim Ali Mehr

;

dida-e-jauhar se bina ho gaya
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

dekh kar aaina-e-zanu tera
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

baad-e-mojid aalam-e-ijad mein
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

kar diya hairan jise dikhlai shakl
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

wo halab pahuncha to sun lena ye haal
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

pusht-bar-diwar hai teri huzur
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

samne se tere Talta hi nahin
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

shana hai dil chaak mashshata hai dang
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

dekh kar us ru-e-rangin ki bahaar
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

tere aage chashm-e-ashiq ki tarah
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

'mehr' ko sakta hai ya ai rashk-e-mah
aaina mahw-e-tamasha ho gaya

mahfil-e-ishrat mein mah-ruyon ke 'mehr'
aaina mahw-e-tamasha ho gaya