dhup si umr basar karna hai
ek diwar ko sar karna hai
aankh to sirf shahadat degi
dil ko tasdiq-e-sahar karna hai
ab fasilon pe ugana hai gulab
fauj ko shahr-badar karna hai
sirf jugnu sa chamakna hai 'shahab'
kab mujhe kar-e-KHizar karna hai

Ghazal
Dhup si umr basar karna hai
Mustafa Shahab