اردو हिंदी
Dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga | Shaahi Shayari
dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga

Ghazal

Dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga

Saghar Azmi

;

dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga
wo koi aur nahin mera hi saya hoga

ye jo diwar pe kuchh naqsh hain dhundle dhundle
us ne likh likh ke mera nam miTaya hoga

jin ke honTon pe tabassum hai magar aankh hai nam
us ne gham apna zamane se chhupaya hoga

be-talluq si faza hogi rah-e-ghurbat mein
koi apna hi milega na paraya hoga

itna naraaz ho kyun us ne jo patthar phenka
us ke hathon se kabhi phul bhi aaya hoga

meri hi tarah mere sher hain ruswa 'saghar'
kis ko is tarah mohabbat ne sunaya hoga