اردو हिंदी
Dhup haalat ki ho tez to aur kya mango | Shaahi Shayari
dhup haalat ki ho tez to aur kya mango

Ghazal

Dhup haalat ki ho tez to aur kya mango

Aasi Ramnagri

;

dhup haalat ki ho tez to aur kya mango
kisi daman ki hawa zulf ka saya mango

us se kya kam hai kisi ke ruKH-e-zeba ki ziya
mah-o-KHurshid se kyun un ka ujala mango

jis ke baad aur na rah jae tamanna koi
mangna ho jo KHuda se wo tamanna mango

KHub hai dard ki lazzat ye baDi daulat hai
zaKHm-e-dil ke liye marham na mudawa mango

jis se chhai hui haalat ki zulmat chhaT jae
tum to KHurshid ho KHud se wo ujala mango

gar shab-e-gham ko sahar chaho banana 'asi'
kisi salma se ziya-e-ruKH-e-zeba mango