اردو हिंदी
Dhup chhanw zehnon ka aasra nahin rakhte | Shaahi Shayari
dhup chhanw zehnon ka aasra nahin rakhte

Ghazal

Dhup chhanw zehnon ka aasra nahin rakhte

Anjum Azimabadi

;

dhup chhanw zehnon ka aasra nahin rakhte
hum gharaz ke bandon se wasta nahin rakhte

zoam-e-parsai mein kab KHayal hai un ko
tanz to wo karte hain aaina nahin rakhte

sazishen alamat to past himmati ki hain
sazishen jo karte hain hausla nahin rakhte

wo ghurur-e-taqwa mein bas yahi samajhte hain
jaise hai KHuda un ka hum KHuda nahin rakhte

tum hawas-paraston ke sainkaDon KHuda Thahre
ek hai KHuda apna dusra nahin rakhte

kis tarah munawwar ho KHana-e-shuur 'anjum'
zehn ke darichon ko tum khula nahin rakhte