اردو हिंदी
DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe | Shaahi Shayari
DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe

Ghazal

DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe

Natiq Gulavthi

;

DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe
aap ne mahfil se uThwa kar kahan rakkha mujhe

ai nigah-e-mast is ka nam hai kaif-e-surur
aaj tu ne dekh kar meri taraf dekha mujhe

yar se ho kar juda jaur-e-falak ka gham nahin
ho chuki wo baat thi jis baat ki parwa mujhe

sath bhi chhoDa to kab jab sab bure din kaT gae
zindagi tu ne kahan aa kar diya dhoka mujhe