DhunDa hai har jagah pa kahin par nahin mila
gham se to gahra koi samundar nahin mila
ye tajraba hua hai mohabbat ki rah mein
kho kar mila jo hum ko wo pa kar nahin mila
dahliz apni chhoD di jis ne bhi ek bar
diwar-o-dar hi us ko mile ghar nahin mila
sari chamak hamare pasine ki hai janab
wirse mein hum ko koi bhi zewar nahin mila
ghar se hamari aankh-micholi rahi sada
aangan nahin mila to kabhi dar nahin mila
Ghazal
DhunDa hai har jagah pa kahin par nahin mila
Hastimal Hasti