اردو हिंदी
Dhul na banna aainon par bar na hona | Shaahi Shayari
dhul na banna aainon par bar na hona

Ghazal

Dhul na banna aainon par bar na hona

Gulzar Vafa Chaudari

;

dhul na banna aainon par bar na hona
binai ke raste ki diwar na hona

shahron ka wirsa hain jalte-bujhte manzar
rahna lekin ham-rang-e-bazar na hona

zahr-hawaen purwa rangon mein chalti hain
sada kaliyo un ke liye gulnar na hona

milne ka khilne ka mausam dur nahin hai
naKHl-e-matam ai mere ashjar na hona

main ne chaman ki KHatir kaun se dukh jhele hain
shaKH-e-bahaaran mere liye gul-bar na hona