dhul-bhari aandhi mein sab ko chehra raushan rakhna hai
basti pichhe rah jaegi aage aage sahra hai
ek zara si baat pe us ne dil ka rishta toD diya
hum ne jis ka tanhai mein barson rasta dekha hai
pyar mohabbat aah-o-zari lafzon ki taswiren hain
kis ke pichhe bhag rahe ho dariya bahta rahta hai
phul parinde KHushbu baadal sab us ka saya Thahre
us ne jab se aaine mein ghaur se KHud ko dekha hai
mujh ko KHushbu DhunDne aae mere pichhe chand phire
aaj hawa ne mujh se puchha kya aisa bhi hota hai
kal jo main ne jhank ke dekha us ki nili aankhon mein
us ke dil ka zaKHm to 'majid' sagar se bhi gahra hai
Ghazal
Dhul-bhari aandhi mein sab ko chehra raushan rakhna hai
Hussain Majid