dharti se dur hain na qarib aasman se hum
kufe ka haal dekh rahe hain jahan se hum
hindostan hum se hai ye bhi durust hai
ye bhi ghalat nahin ki hain hindostan se hum
rakkha hai be-niyaz usi be-niyaz ne
wabasta hi nahin hain kisi aastan se hum
rakhta nahin hai koi shahadat ka hausla
us ke KHilaf laen gawahi kahan se hum
mahfil mein us ne hath pakaD kar biTha liya
uThne lage the ek zara darmiyan se hum
had jis jagah ho KHatm harifan-e-'KHair' ki
wallah shuru hote hain aksar wahan se hum

Ghazal
Dharti se dur hain na qarib aasman se hum
Rauf Khair