dhanak dhanak meri poron ke KHwab kar dega
wo lams mere badan ko gulab kar dega
qaba-e-jism ke har tar se guzarta hua
kiran ka pyar mujhe aaftab kar dega
junun-pasand hai dil aur tujh tak aane mein
badan ko naw lahu ko chanab kar dega
main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega
ana-parast hai itna ki baat se pahle
wo uTh ke band meri har kitab kar dega
sukut-e-shahr-e-suKHan mein wo phul sa lahja
samaaton ki faza KHwab KHwab kar dega
isi tarah se agar chahta raha paiham
suKHan-wari mein mujhe intiKHab kar dega
meri tarah se koi hai jo zindagi apni
tumhaari yaad ke nam intisab kar dega
Ghazal
Dhanak dhanak meri poron ke KHwab kar dega
Parveen Shakir