dhaDakte sans lete rukte chalte main ne dekha hai
koi to hai jise apne mein palte main ne dekha hai
tumhaare KHun se meri ragon mein KHwab raushan hai
tumhaari aadaton mein KHud ko Dhalte main ne dekha hai
na jaane kaun hai jo KHwab mein aawaz deta hai
KHud apne-ap ko nindon mein chalte main ne dekha hai
meri KHamoshiyon mein tairti hain teri aawazen
tere sine mein apna dil machalte main ne dekha hai
badal jaega sab kuchh baadalon se dhup chaTKHegi
bujhi aankhon mein koi KHwab jalte main ne dekha hai
mujhe malum hai un ki duaen sath chalti hain
safar ki mushkilon ko hath malte main ne dekha hai
Ghazal
DhaDakte sans lete rukte chalte maine dekha hai
Aalok Shrivastav