dete hain jam-e-shahadat mujhe malum na tha
hai ye aain-e-mohabbat mujhe malum na tha
matlab-e-chashm-e-murawwat mujhe malum na tha
tujh ko mujh se thi shikayat mujhe malum na tha
chashm-e-KHamosh ki babat mujhe malum na tha
ye bhi hai harf-o-hikayat mujhe malum na tha
ishq bas mein hai mashiyyat ke aqida tha mera
us ke bas mein hai mashiyyat mujhe malum na tha
haft-KHwan jis ne kiye tai sar-e-rah-e-taslim
TuT jati hai wo himmat mujhe malum na tha
aaj har qatra-e-mai ban gaya ek chingari
thi ye saqi ki shararat mujhe malum na tha
nigah-e-mast ne talwar uTha li sar-e-bazm
yun badal jati hai niyyat mujhe malum na tha
gham-e-hasti se jo bezar raha main ek umr
tujh se bhi thi use nisbat mujhe malum na tha
ishq bhi ahl-e-tariqat mein hai aisa tha KHayal
ishq hai pir-e-tariqat mujhe malum na tha
puchh mat sharh-e-karam-ha-e-azizan hamdam
un mein itni thi sharafat mujhe malum na tha
jab se dekha hai tujhe mujh se hai meri an-ban
husn ka rang-e-siyasat mujhe malum na tha
shakl insan ki ho chaal bhi insan ki ho
yun bhi aati hai qayamat mujhe malum na tha
sar-e-mamura-e-alam ye dil-e-KHana-KHarab
miT gaya teri badaulat mujhe malum na tha
parda-e-arz-e-wafa mein bhi raha hun karta
tujh se main apni hi ghibat mujhe malum na tha
naqd-e-jaan kya hai zamane mein mohabbat hamdam
nahin milti kisi qimat mujhe malum na tha
ho gaya aaj rafiqon se gale mil ke juda
apna KHud ishq-e-sadaqat mujhe malum na tha
dard dil kya hai khula aaj tere laDne par
tujh se itni thi mohabbat mujhe malum na tha
dam nikal jae magar dil na lagae koi
ishq ki ye thi wasiyyat mujhe malum na tha
husn walon ko bahut sahal samajh rakkha tha
tujh pe aaegi tabiat mujhe malum na tha
kitni KHallaq hai ye nisti-e-ishq 'firaq'
us se hasti hai ibarat mujhe malum na tha
Ghazal
Dete hain jam-e-shahadat mujhe malum na tha
Firaq Gorakhpuri