deta nahin dil le ke wo maghrur kisi ka
sach hai ki na zalim se chale zor kisi ka
aaraish-e-husn aaina-ruKH karte ho har dam
lena hai magar dam tumhein manzur kisi ka
be-wajah nahin tabish-e-arbab-e-safa ko
hai jalwa-gar is aaine mein nur kisi ka
aata hai nazar yan jo har aiwan-e-shikasta
yak waqt mein tha KHana-e-mamur kisi ka
wo shoKH pari rashk-ba-kaf tegh-e-siyah-mast
aata hai kiye shisha-e-dil chur kisi ka
rokun main ab us ko sar-e-rahe kabhi aa ke
itna to main rakhkhun nahin maqdur kisi ka
'bedar' mujhe yaad usi ki hai shab-o-roz
ne baat kisi ki hai ne mazkur kisi ka
Ghazal
Deta nahin dil le ke wo maghrur kisi ka
Meer Mohammadi Bedar