deta hai koi mujhe sada bahar aa
ai mere badan mein qaid hawa bahar aa
kab se hila raha hun zanjir dar-e-shab
tu hi le kar hathon mein diya bahar aa
kyun bana hua hai hadaf zamane ka
guzra hai kya tujh pe saneha bahar aa
taq mein kab se saja raha hun yaad-e-charagh
tu hi to hai ek mera aashna bahar aa
kab tak tu aasman mein chhup ke baiThega
mang raha hun main kab se dua bahar aa
tujhe yaqin agar hai apne hone ka
aa ai meri jaan-e-be-nawa bahar aa
sang-e-malamat se bach jae to jaanen
'tur' is shahr-e-munafiq mein zara bahar aa

Ghazal
Deta hai koi mujhe sada bahar aa
Krishna Kumar Toor